Lekin kuch udaas laga
udasi khubsurat naho hoti hai babumosai
haan hoti hai magar tumhe toh hamesa haste dekha hai na, isliye
toh kya har khushi ke piche sirf khushi rehti hai babumosai, kabhi kabhi gum bhi toh
Anand aaj kuch bolte bolte ruk gaya.
Kehte kehte apna gum chupaliya usne.
Woh gum hi sayad uske jinda rehne ki sakti hai.
Warna yeh kaise mumkin hai, ki jiska sarir din badin kamjor ho raha hai, uske man ki sakti is tarah badhti jaa rahi hai.
Lekin uska gum kya hai, chahate huye bhi maine janne ki kosis nahi ki.
Agar wahi sakti hai uski, toh acha hai woh gum wahi uski dil ki gehrahiyon me chupa rahe.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Medical profession me ek woh mukam bhi aata hai jahan tamam ilaj khatm ho jaate hain aur doctor. Ko sirf marij ke khatm hone ka intejar karna padta hai. Is bebasi ko siwae ek doctor ke aur koi nahi jan sakta. Hey bhagwan, kitni bhayanak bebasi
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Bas gine ginae kuch panne baaki hain anand ki jindagi ke, uske gine ginae kuch dino ki tarah.
Renu ne thik hi kaha tha ki ache logon ki bhagwan ko bhi utni hi jarurat rehti hai jitni hame.
Uske saamne kisi ki marji nahi chalti, haan kehte hain kabhi kabhi prarthana chalti hogi, aur is waqt main janta hun sab wahi kar rahe honge.
Lekin ant hum sab jante hain, hum sab dare sehme usika intejaar kar rahe hain
Kab. Kab. Kis waqt.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Maut tu ek kavita hai
mujhase ek kavita ka vaadaa hai milegi mujhako
dubati nabzon mein jab dard ko neend aane lage
zard saa cheharaa liye chaand ufak tak pahunche
din abhi paani mein ho, raat kinaare ke kareeb
na abhi andheraa ho, na ujaalaa ho, na raat, na din
jism jab khatm ho aur ruuh ko saans aae

mujhase ek kavita ka vaadaa hai milegii mujhako
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Jindaga aur maut uparwale ke hath hai jahapana, jise na aap badalsakte hai na mein. hum sab to rangmanch ki katputlia hai, jiski door uparwale ke haath bandhi hai kab kaun kaise uthega ye koi nahi janta
No comments:
Post a Comment